Naajaane kyun tere aane ka yakeen hai,
Naajaane kyun tujhe paane ka yakeen hai,
Tere liye Khuda se jo kiye hain sajde hazaar,
Ab Hum bhi Khushi se Muskuraunge yakeen hai..
Har dua mein maanga hai tujhko maine Khudaa se mere liye,
Har sajde mein aansun bahaaya hai tujhko apna banaane ke liye,
Itna royaa hoon baargah-e-Khudaaya mein tujhe paane ke liye ab,
Khud farishte bhi sharmayein honge meri Mohabbat se, tere liye,
Itni mannat, itni fariyaad Khudaa se kissi ne na ki hogi ab talak,
Jitni fariyaad tujhe paane ke liye main karta hoon Khudaa se, Mere liye..
The Demon Prince...
No comments:
Post a Comment