Pal, pal Dil Tujhse Pyaar karta hai,
Dard mein bhi muskuraakar izhaar karta hai,
Hoon main haara iss Mohabbat mein "Mohak",
Jaane kyun jeetne ka aitbaar karta hai,
Na aayegi meri chaahat Tu jaanta hai Dil,
Fir bhi tere aane ka intezaar karta hai,
Ab bacha kya hai lutaane ke liye ae Dil,
Tere liye Zindagi bhi nisaar karta hai,
Ho sake toh meri Mohabbat pe aitbaar kar lena,
Ek tuhjse hi Dil be-intehaa Pyaar karta hai..
The Demon Prince...
No comments:
Post a Comment