Wednesday 26 December 2007

Let the world fear me if I fall in love

Let the world fear me if I fall in love,
I come with strong woes,
and strong desire,
Will Never bow to any human,
Once committed done..

The foresight of vision is beholding me,
For not to love so easily,
This world will end in my hands,
If it stabs before I stand..

Will never sob if problems face,
Will smile till the problems erase..

Fight fight till I achieve my love..
Let the world know, what a lover was..
Mohak..
That's dangerously me..
Never revealed..

Is dil mein gehri si pyaas hai

Is dil mein gehri si pyaas hai,
Har jagah pyaar ki talaash hai,
Banke deewana main doondh raha hoon jisse,
Nazron ko bas unhi ki aas hai..

Har Lamha parchaiyon ko dhoonda maine,
Talaasha harr disha,
Socha jisko khwabon mein,
Aayi na koi uski mehki Fiza..

Lamhe kat rahe hain,
Ye dil jal raha hai,
Sadiyon se guzar rahe hai din,
Bas jaise adhoora hoon kissi ke bin..
Mohak..

My heart is dumped in darkness

My heart is dumped in darkness,
In the dungeons of beast,
where no single ray of hope for love is visible,
Nor the atmosphere to breath..
Mohak..

Unn lafzon mein aisa kya hai..

Unn lafzon mein aisa kya hai..
Wo to bas gham ki kahani keh denge..
Jo na keh sake kabhi iss zubaan se..
Wo usse bezubaani keh denge..
Mohak..

Aarzoo hai iss Dil ki

Aarzoo hai iss Dil ki,
Tujhe apne bahon mein le loon,
Jhoom kar tere Ishq mein,
Madhosh tere khayalon mein ho loon.


Choom kar tujko ae Mehboob,
Tujhe apni panah mein le loon,
Sine se lagakar tujhko,
Apne pyaar ke daaman mein le loon.


Tujhe pane ke liye,Main har gunaah kar jaoon,
Tere liye dil kya,Saara jahan lootaoon.
Main hoon tera deewana,iss kadar,
Iss deewanagi ke junoon mein,
Duniya bhi tabah kar aaoon.
Mohak..

Friday 7 December 2007

रोया है हर दिन मैंने, मैखाने में मॅन के

रोया है हर दिन मैंने, मैखाने में मॅन के
भर लिया आंसुओं को सब, पैमाने में दिल के
प्याला भी भर के छलका, आंसू हुए न कम

हस्ता हूँ बनके बेदर्द, ज़माने में मर के
मोहक

Tuesday 13 November 2007

I escaped the fragrance of love..

I escaped the fragrance of love,
But never escaped the vision divine,
My heart weeps passionately for love,
But can never overcome my own mind..
Mohak...

Zamaane ki riwayaton pe chal raha hoon..

Zamaane ki riwayaton pe chal raha hoon main,
Apni hi bandish mein kaid jee raha hoon main,
Dil ki chahat ko khul ke izhaar bhi nahin kar sakta,
Aur kehta hoon beshak muskura raha hoon main..
Mohak...

Zindagi bhar dard mein muskurathe rahe

Zindagi bhar dard mein muskurathe rahe,
Tanhaiyon mein aansun bahate rahe,
Kholi jo kitab kabhi is dil ki,
Dard ke panno ko chipate rahe..

Khud mein hi reh gaye raaz dafan saare,
Kya chahat, kya mohabbat,
Hum to sab mein haare..
Hume to pyaar ka aasra hi na mila,
Dil ki pyaas ko dabaate rahe saare..
Mohak...

Tanha kat rahi hai zindagi...

Tanha kat rahi hai zindagi,
Isko hai kissika intezaar,
Jo kare humse aashique,
Kab honge unke deedaar..

Dhoond raha hoon jisse,
Main hoke beqaraar,
Dil ki iss tadap mein,
Guzar na jaye din hazaar..

Bechain hoke main,Rota hoon zaar, zaar,
Ya rab mere,Kya milega mujhe bhi pyaar?
Jo ho sirf mera,
Sirf mera ho wo Yaar..
Mohak...

Apni chahat ko pa na sake

Apni chahat ko pa na sake,
Kissi aur ki chahat ko apna na sake,
Kya aisi hi hoti hai Mohabbat?
Khud toote toh gham na hua,
Gham hai Kissi aur ko tootne se bacha na sake..
Mohak...

Ehsaason ki Duniya mein dilwalon ka kaam hota hai

Ehsaason ki Duniya mein dilwalon ka kaam hota hai,
Apne haaton mein to sirf Bedardi ka jaam hota hai..

Tanhai bhi roti hai apne mukaam se,
Mohabbat bhi rooti hai mere ehsaan se..
Mohak...

Kya paaya hai maine iss jahaan mein

Kya paaya hai maine iss jahaan mein,
Yahaan to sab kuch hai khoya,
Tanha sa lagta hoon main ab,
Tanhaayi ka hi hai saaya..

Kya chahat kya mohabbat,
Iske liye dil ne bahut roya,
Shayad tanhaa rehna hi mera muqaddar hai,
Issiliye khudane mujhe aise banaaya..

Ab tanhaayi bhi cheekti hai mere naam se,
Ki viraane se nikal ke aaja,
Dil bebas pada hai ab,
Aur bas, udaasi ka mausam hai chaaya..

Ro raha hoon main ab,
Khudko jo hai itna sataaya,
Duniya ko toh hasi dikhti hai meri,
Aansuon ke sailab ko mere kaun dekh paaya..
Mohak...

Mere Dil ki aahat ko nahin samajh sakta koi

Mere Dil ki aahat ko nahin samajh sakta koi,
Yahaan to ehsaas bhi bataana padta hai,
Hasta hoon khud ki badnaseebi pe tanhayion mein,
Ki pyaar bhi hojaye agar, toh jataana padta hai..
Mohak...

Tuesday 6 November 2007

Sehta hoon khud, khud ko rulane ke liye

Sehta hoon khud, khud ko rulane ke liye,
Karta hoon nafrat, aazmaane ke liye,
Apni aazmaish mein koi khara nahin utara ab talak,
Bas tak raha hoon pyaar ka ehsaas jataane ke liye.

Samajhna mujhe hoga mushkil duniya ke liye,
Bedardi ka libaas jo pehna hai dikhane ke liye,
Aata nahin hai maza kissi ko chhot pahunchane mein,
Bas darta hai dil kissi pe aane ke liye..
Mohak...

Shehzade humse, roya nahin karte

Shehzade humse, roya nahin karte,
Aankhon se ashqk bahaya nahin karte,
Khoon-e-Dil bhi hojaaye agar,
Uss dard ki aah bhi sunaya nahin karte..
Mohak...

Tuesday 30 October 2007

Abhi bhi dil bechain hota hai teri yaad mein

Abhi bhi dil bechain hota hai teri yaad mein,
Yunhi ro leta hai dil tere khayaal mein,
Laakh manaya dil ko, ki Tu laut ke nahin aane waali,
Kehta hai dil, Puri zindagi bitadun tere intezaar mein..

Mohak...

Irade toh bahut hai..

Irade toh bahut hai..
Dishayein bhi bahut hai..
Chunu toh kaunsi raah..
Yahi meri mushkil hai..

Mohak...