Tuesday 28 December 2010

Tere chehre ko takne, main takta hoon chaand ko

Tere chehre ko takne, main takta hoon chaand ko,
Dhalta hai chaand to takta hoon aasmaan ko,

Suntan hoon dhun main behti hawa ki,

Saansein jo loon main khushboo hai pyar ki..


Dheemi, dheemi si jo teri hasi hai,

Shabnami boondon jaisi dil ko thandak si deti hai,

Tera wo muskuraata jab chehra yaad aata hai,

Tujhe gale lagaane ye dil machalta hai..


Tere hone se ye dil muskuraata hai,

Teri baaton se ye dil behalta hai,

Har sargam, har surr, har kavitha se sundar ek tu,

Tujhse sharmaake chaand bhi chupp jaata hai..


Mat nikal tu baahar, bhawnre hazaar honge,

Tujhko sataane jaane kab se tayyaar honge,

Koi choo na paaye teri maasoomiyat ko dilbar,

Tu sirf meri hai Pari, yakeen rakh mujhpe,

Teri kismet ko hum khushiyon se sawaar denge..

The Demon Prince...

Sunday 31 October 2010

Battle Within

I made myself a battle ground,
Where within I hear my own crying sound,
Living my own life, lifeless,
Battling within to hide my sorrows and happiness to express,
Dying every moment to near death,
Losing hope to live life with my every breath,
Give up says my stupid Heart,
And my Mind pleads for a refreshing start...

The Demon Prince...

Hai Sang Mere

Hai Sang Mere, Yeh Dono Jahaan,
Hai Rang Khushiyon Ke, Jitni Hain Titliyaan,
Hai Chaand Aur Suraj Ki Narmi Aur Garmiyaan,
Fir Kyun Chaayi Hai Udaasi Darmiyaan...

Hai Khushiyon Ki Har Wajah Mere Paas,
Iss Shhehar Mein Bajti Hai Mastiyon Ki Saaz,
Par Hai Nahin Jisko Kahun Main Khaas,
Shayad Issiliye Yeh Dil Hai Yun Udaas...
The Demon Prince...


Wednesday 10 March 2010

Har pal Khuda se vuse paane ki duwaa maangta hoon

Har pal Khuda se vuse paane ki duwaa maangta hoon,
Har pal uske laut aane ke intezaar mein jaane kitne din guzaare hain,
Wo guzra waqt, wo pyaari baatein, sab laut ke nahin aayegi jaanta hoon,
Jaane kyun ab bhi intezaar sa hai, Ab bhi usse Pyaar sa hai...
Mohak...