Tuesday 7 October 2008

Thak gaya main Duniya mein

Thak gaya main Duniya mein,
Ab neend ki gunjaish hai,
Aasra nahin hai koi Pyaar ka,
Bas tanhaayi hi paayi hai...
The Demon Prince...

Itne Khushnaseeb Hum nahin ki taare meri marzi se toote

Itne Khushnaseeb Hum nahin ki taare meri marzi se toote,
Yahaan toh kuch kehne ki der hai ki sab Humse roote,
Ab Falak ki Ummeed kya kare jab Zameen Hi Apni na ho,
Gair toh khair Gair hain, Yahaan toh apne bhi Chhute...
The Demon Prince...

Jaana hai kahin duur Duniya ke bheed se

Jaana hai kahin duur Duniya ke bheed se,
Nahin bandhna hai riston ki Zanjeer se,
Ye Mehfil duniya ki raas nahin aati mujhe,
Bas ladna hai tanha apni taqdeer se...
The Demon Prince...

Jaane kyun tanhaiyon mein jal raha hai ye Dil

Jaane kyun tanhaiyon mein jal raha hai ye Dil,
Jaane kiske liye yun machal raha hai ye Dil,
Dhoondo zaraa dekho kahaan hai wo pari,
jiske liye betaab hai ye Dil, Jo hai Meri Zindagi...
The Demon Prince...

Jo na chahata hai ye Dil kabhi, ussi ke hone ke hadd par hai

Jo na chahata hai ye Dil kabhi, ussi ke hone ke hadd par hai,
Inkaar-e-Mohabbat se ab, Ikraar ke Zidd par hai,
Main toh wo bhawra hoon jo samundar mein phool ki talaash karta hai,
Wahan bhi ab phool khilne ki gunjaish si hai.

Phool jo nazar aa raha hai mujhe, aankhon ka dhoka hai ya haqeeqat hai,
Wo aa gayi samundar mein, ya main khincha ja raha hoon zameen pe,
Koi toh samjhaaye ki ye kya hai,
Main Udd raha hoon falak pe, ya so raha hoon zameen pe...
The Demon Prince...

Kashmakash mein hai Dil, ki Pyaar hai unse

Kashmakash mein hai Dil, ki Pyaar hai unse,
Par issi Dil ke kissi kone mein inkaar bhi hai Unse,

Pyaar aur inkaar ke beech mein aise ghira hoon,
Tadap raha hoon main bhi pyaas se,
Par ye soch kar ki wo kissi aur ki hai,
Issiliye inkaar hai Unse...
Mohak...

Tanha hi Khush tha, Kyun ghula main duniya ke rang mein

Tanha hi Khush tha, Kyun ghula main duniya ke rang mein,
Rehta tha akela, kyun chalaa duniya ke sang main,
Bezaae ho raha hai Dil, ab kuch raas nahin aata mujhe,
Chahata hoon kahin chupp jaun, harr ek mehfill se,
kahin tanha duur, Viraane kissi saahil pe...
The Demon Prince...

Toot kar bhi khud hi muskuraata hai ye Dil

Toot kar bhi khud hi muskuraata hai ye Dil,
Ki root kar bhi khud hi manaata hai ye Dil,
Har Ghamko Akele hi sehta hai aise,
Ki apne hi aansuaon ko peeta hai ye Dil.

Kya kahun kissi se ki kitna kamzor hai ye Dil,
Pahunche chot kissiko toh rota hai ye Dil,
Duniya mein rehta hai bedardi ke aalam mein,
Yun apni buri pehchaan banaata hai ye Dil...
The Demon Prince...

Yaad aayi mujhe ek kahaani hai

Yaad aayi mujhe ek kahaani hai,
Beetein palon ki dhunn suhaani hai,
Chuuta jo saath, ab Dil ki Chot puraani hai,
Bas Muskaan uski, mere liye yaadon ki nishaani hai...
The Demon Prince...

Sajde kiye the khuda ko tere liye

Sajde kiye the khuda ko tere liye,
Roya tha duaon mein maine tere liye,
Mann machalta hai tujhe paane ko ab,
Dil bhi jalaaye rakha hai ae Mohabbat tere liye...
The Demon Prince...